Monday, 14 March 2011

Ghazal SMS

Aug 07
Titliyaann jugnoo sabhi hongay magar dekhay ga kaun
Hum saja bhi lein agar deewar-o-dar dekhay ga kaun

Ab tu hum hain jagnay walay teri khatir yahaan
hum na hongay tu tere shaam-o-sehar dekhay ga kaun

jis ki khatir hum sakhan sachayi kay rastay chalay
jab wahi usko na dekhay tu hunar dekhay ga kaun

sab nay apni apni ankhon per naqaabein dal li
jo lih hai sheher ki deewaar per dekhay ga kaun

bay sitarah zindagi kay ghar main ab bhi raat ko
ik kiran teray khayalon ki magar dekhay ga kaun

Share This Post Tags:
Aug 04
MUJH KO RUSWA SARE MEHFIL
TO NA KERWAYA KARE
KAASH ANSOO MERI
ANKHON MAI HI REH
JAAYA KARE
AI HAWA MAINE TO BAS
USKA PATA POOCHHA THAA
AB KAHAANI TO NA
HAR BAAT KI BAN
JAAYA KAREY
Share This Post
Jul 26
MERI Ankhon Pr Marta tha
MERI Batoon pr Hansta tha
Na janey SHAKs tha Keysa
Mujhe khoney Sey Drta tha
Mujhey JAB B wo Milta tha
Yehi Hr Bar kehta tha
Suno!
Me Bhool Jaon tao…
Me Rooth Jaon tao…
Kabhi wapis na aaon tao….
Bhula pao gey KYA SB kuch
Yu hi Hanstey Raho gey KYA?
Yu hi Sajtey Raho gey KYA?.
Yehi Baateyn thi Bs uski
Yehi YAADEYN hain Bs uski….
Mujhe Bs pata hai ITNA…..
Mujhey wo PYAAR krta tha
Mujhey khoney Sey Drta tha!

Share This Post Tags:
Jul 23
Zamane Bhar Ki Nafrat Rasta Roke Kharhi Hai
Mohabat Se Shanasai Boht Mehengi Parhi Hai

Hamare Mann May Jhanko Gar To Jano Dil Ki Was’aat
Hamein To Apne Andar Ki Musafat Hi Barhi Hai

Khud Apna Ap B Baqi Nahi Rehta Meri Jan
Kisi Ko Apna Kehne Ki Saza Kitni Karhi Hai

Khuda Jane Ye Kab Toote K Isko Tootna Hai
Wahi Ek Khawab Si Surat Jo Aankho May Jarhi Hai

Shikast Apni Huwi Hai Apne Hatho Hi Magar Ab
Nahi Tasleem Karte Hum To Ye Apni Arhi Hai

Share This Post
Jul 01
Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,

Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,

Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

Share This Post
Jun 16
Dil Lagi Thi Usy Hum Se Mohabbat Kab Thi !!
Mehfil-e-Gair Se Sitamgar Ko Fursat Kab Thi !!
Hum Thy Mohabbat Mein Lut Jane Ke Qaayil !!
Hamari Khatir Kisi Ko Chornay Ki Us Mein Himmat Kab Thi !!
Wo Tu Waqt Guzarnay Ke Liye Karta Tha Pyar Ki Baatain !!
Warna Meri Khatir Us Ke Dil Mein Chahat Kab Thi !!
Bohut Roka Phir Bhi Nikal Aaye Kambakht Aansu !!
Warna Bazm-e-Yaar Mein Ansu Bahanay Ki Ijazat Kab Thi !!
Share This Post Tags:
Nov 23
Mere ishq ko na nidhal ker,
Kabhi Be hijab wasal ker,
Meri ankh ko benai de,
Mere qalab ko ujal ker,
Mujhe dars de fana ka,
Mere ishq ma bura haal ker,
Mujhe de saza koi sakhat si,
Mujhe is jahan ma misal ker,
Meri asal sorat bigar de,
Kisi ishq bhati ma dal ker,
Mujhe bhi pila koi aesi she…,
Kabhi meri ankhein bhi laal ker,
Wo jo is jahan ma halal he,
Kabhi us jahan ma halal ker,
Teri talab ma hun Dar badar,
Kabhi is samat bhi khiyal ker.

Share This Post Tags:
Nov 14
Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte.

Share This Post Tags:
Nov 10
Utho meri dunya k garibon ko jaga do
Khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
Kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

Sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
Jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

Jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
Us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

Kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
Piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

Main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
Mere liye mitti ka haram aur bana do

Tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
Adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

- Muhammad Allama Iqbal
Share This Post Tags:
Oct 25
Kal halki halki barish thi,
Kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray thay,
Kal un main aap ka aks bhi tha,
Kal dadil kaalay gehray thay,
Kal chand pe laakhon pehray thay,
Kuch tukry aap ki yadoon kia…,
Bari dair sa dil main thehray thay,
Kal yaadein uljhi uljhi then,
Aur kal tak ye na suljhi then,
Kal piyaar kia deep jalay thay,
Kal yaad bohat tum aaey thay!
Share This Post Tags:

No comments:

Post a Comment